Kuch Bol
Aksar suna karte hai ke bururgo ke pass jeevan ka wo khzana hota hai jisse amuman hum isliye gaur nahi karte kkyunki hume lagta hai ke waqt badal gya hai, halaat badal gye hai to in sab baton ki kya jrurat par fir bhi aksar maine dekha hai ke kuch batein who sirf ek vakay me keh jaya karte hai jisse apko itna to samajh ajata hai ki aapke liye kya mahatavpuran hai. Us vakay me zeevan bhar ka nichod aapko ek disha dedeta hai or kuch dhoondhli rahoo ka andhera door kar deta hai. Amuman meri aadat hai ke agar maine ghar ke pass kahi kuch samaan lene jana hai to maine aksar paidal chale jaya karti hu agar mere pass waqat ho to. Aaj bhi kuch aisa hua ke mujhe koi cheez lene jana tha to main paidal hi us raste se guzar rahi the to achanak se ek buzurag ne meri taraf hath krke roka, darasal mujhe nahi wo mere piche ate ek shakas ko ishara kar rahe the. Main kuch pal ke liye thehri to unhone mehaz kuch bol bole, “Banda muk jata hai, kaam nahi mukte to pehle khud ko dekho fir k...
Comments
Post a Comment