Is HI-TECH si zindgi me- A Poem




Is HI-TECH si jingdi me,

Sab kuch hi FAST SPEED hogya hai,
Mano jaise jruri hai jo sab LIFE me,
Uska OPTION galti se DELETE hogya hai...


Jindgi badhte badhte IMPORTANT MESSAGE si hogyi hai,
Man bhi nahi hai or bhejna bhi jruri hai,
Khi pe LUXURIES OR DREAMS ka bhojh,
Khi kuch ajeeb si PERSONAL majburi hai,
Sab kuch MANAGE krte krte, 
ROBOT sa sara DATA MIND me FEED hogya hai....
Is HI-TECH si jingdi me,
Sab kuch hi FAST SPEED hogya hai,
Mano jaise jruri hai jo sab LIFE me,
Uska OPTION galti se DELETE hogya hai...


Rishto ki jagah ab dil ne nhi MONEY ne bna li hai,
Itni SIMPLE si PROBLEMS humne DEPRESSION me FUNNY si bnali hai,
Ab BREAK leni bhi ho to ek WORLD WAR sa lgta hai,
Waise adhera hi andhera hai BUT SHOW OFF ab SUNNY si bnali hai,
Pehle to logo ke aksar do hi chehre hote the,
MAKEUP ki is duniya me chehro ka ye khel HIGHLIGHT hogya hai....
Is HI-TECH si jingdi me,
Sab kuch hi FAST SPEED hogya hai,
Mano jaise jruri hai jo sab LIFE me
Uska OPTION galti se DELETE hogya hai...


Kehne ko to ab COMFORTS AND FACILITIES bhut hai,
Ek OPPORTUNITY hath se gyi to POSSIBILITIES bhut hai,
Samjh hi nahi ata k FOCUS khud ko kre ya ELDERS aur SOCIETY ko,
Is ADDITION OR SUBTRACTION ki probabilities bhut hai,
Kuch DREAMS AND ASPIRATIONS ka bojh to har kisi per hai aaj,
Is bojh k chalte insaan Kuch jada hi MISLEAD hogya hai....
Is HI-TECH si jingdi me,
Sab kuch hi FAST SPEED hogya hai,
Mano jaise jruri hai jo sab LIFE me,
Uska OPTION galti se DELETE hogya hai...


Kuch ne aaj is POEM ko RELATE kia hoga,
Kuch ne meri bat se AGREE or kuch ne HATE kia hoga,
Ab likhne bethi hi apni OBSERVATIONS to ajeeb lgta hai,
Har shaks ne apne hisab se is sab ho RATE kia hoga,
Enjoy krne se pehle hi humne mind chalana hai,
Kuch ki SMILE se jruri to aaj HEED hogya hai...
Is HI-TECH si jingdi me,
Sab kuch hi FAST SPEED hogya hai,
Mano jaise jruri hai jo sab LIFE me,
Uska OPTION galti se DELETE hogya hai...

In this HiNgLiSh PoEM , the English words are written in capital, rest Hindi are in small words.

Comments

Popular posts from this blog

Kuch Bol

BE PRIDE, NOT PROUD

OOUS KI BOONDE-A POEM