BAAL DIWAS KI SHUBHKAMNAYE
Yu nahi hai ke bde hojana bura hai, apne ander ke bche ko
kho dena bura nahi, bhut bura hai, jante hai kyu? Kyunki use kho kar aap kbhi
khush nahi reh sakte, or yadi aap khush nahi to aap kisi ko khush bhi nahi rakh
skte…
Diya wahi roshni dega jo roshnaya ho,
Phool whi khushboo
dega jo khud mehkaya ho…
Paed whi chaya dega jo khud gehraya ho,
Samjhega whi khushi ke mayne jisne khud ko apnaya ho…
“Dekho Maa. Aaj main safal hogya. Aaj main kamyab hu kyunki mere Maa Baap Sath hai. Agar aapne mujhe naa
samjhaya hota, to shayad main kbhi naa sanwar pata.” Ye kuch shabad keh kar wo
apne Maa Baap ke paer chuta hai or bad me chaudi chati liye uska Pita use sine
se lga leta hai. Ye ek pal har insaan apni zingdi me chahta to hai par kuch hi
log in rishto ki garmahat ko mehsus kar pate hai kyunki who apni pehchan ko
bacho ki pehchan bnana chahte hai, jisme kahi bache ka akas waqt ke sath kho
jata hai.
Jaise jaise waqt ghahrata gya, main duniya se kuch ghabrata
gya,
Mujhe samjhne walo ko bhi mujhpe naa yakeen tha, mera sapna
jaise dhundhlata gya….
Zindgi ka sabse Khubsurat or Mehfuz pdaav hota hai “Bachpan”
kyunki usme fikar bhi befikri si hoti hai. Choti choti baton ke liye naa ki
sirf ladna or jhagdna balki sath hi kuch der bad dil me gussa hote hue bhi
pyaar ko mehtav dena. Yun to har saal mnate hai Children’s Day par sirf kuch hi
log hai jo apne bache ke sapno or Samarth ko samajh pate hai… Yu nahi hai ke
aap apne bacho ko mushkilo me chod de balki unhe un mushkilo ka samna karna
sikhaye taki weh aap pe nirbhar nahi balki aatm-nirbhar hoker apni zindgi ko
jiye…
Aakhir me apke bhitar chupe Bache ko Baal Diwas ki Bahut
bahut shubhkamnaye jo apki zindgi ki badi se badi mushkil ko apni masumiyat se
hal karke aapko jine ken aye mayne dega. Kuch waqt us bache ke liye jarur
nikale.
Comments
Post a Comment