Kuch Bol
Aksar suna karte hai ke bururgo ke pass jeevan ka wo khzana
hota hai jisse amuman hum isliye gaur nahi karte kkyunki hume lagta hai ke waqt
badal gya hai, halaat badal gye hai to in sab baton ki kya jrurat par fir bhi
aksar maine dekha hai ke kuch batein who sirf ek vakay me keh jaya karte hai
jisse apko itna to samajh ajata hai ki aapke liye kya mahatavpuran hai. Us
vakay me zeevan bhar ka nichod aapko ek
disha dedeta hai or kuch dhoondhli rahoo ka andhera door kar deta hai.
Amuman meri aadat hai ke agar maine ghar ke pass kahi kuch samaan
lene jana hai to maine aksar paidal chale jaya karti hu agar mere pass waqat ho
to. Aaj bhi kuch aisa hua ke mujhe koi cheez lene jana tha to main paidal hi us
raste se guzar rahi the to achanak se ek buzurag ne meri taraf hath krke roka,
darasal mujhe nahi wo mere piche ate ek shakas ko ishara kar rahe the. Main
kuch pal ke liye thehri to unhone mehaz kuch bol bole,
“Banda muk jata hai, kaam nahi mukte to pehle khud ko dekho
fir kaamo ke piche bhagna….”
Mujhe pehle to ajeeb laga ke unhone ne mujhe kyu kha fir
agale hi pal wo anjaan shakas se baat karne lag gye or main wha se chale to gyi
pafr unke in shabado ne mujhe whi khda kar diya. Meri bhi aadat hai ke bhut bar
main cheezo ko ane wale waqat ke liye chod dia karti hu, par kya wo waqat ayega
ke nahi itna mujhe maloom hai bhi ke nahi. Sabse ahem baat kya mere pass mere
liye waqat hai ke nahi? Hum sab hi khi na khi kisi uljhan me hai jisse aaj ya kal
humne nikal to jana hai par kya in uljhano me jeena zindgi hai ya fir inko
samajh ke khushi se badhte jana.
Sahi khaa unhone ke insaan to khatam ho hi jayega kyunki mitti
ka putla hai par kya yha jo bhi kaam hai, duniyadari hai wo chalti rahegi! Han
sab chalta hi rahega aaj nahi to kal is mitti ne mitti hojana hai jo reh jaye
wo yadein hai, achi ya buri. Pehle khud se rishta nibhao fir apne karamo se,
jaisa bhi daur-e-zindgi ho ussme hmesha khush rho apno ke sath.
Comments
Post a Comment