Swarg Ya Narak
Heena bahut saaf man ki ladki the jisse sab uski saadgi ke
liye jante the. Usne kbhi kisi ka dil nahi dukhaya, fir chahe who uske Maa-Baap
ho, dost ya fir koi anjaan. Usne apni zeevan me jo bhi faisle liye who humesha
dusro ko dhyaan rakhte hue liye, shayad yhi who vajah the ke woh sabki chaheti
to the par uske kuch khwabo ne dum tod diya jinki aahat uske zehan me kbhi kbhi
hoti to the par gharwalo ki khushi ke liye unhe who nazarandaaz kardeti. Yuhi
khushi khushi who zindgi basar kar rahi the k ek sham jab woh sabzi lene bjaar
gyi to raste me uska accident ho gya aur uski maut hogyi.
Jaise hi uski najare khuli to usko vishwas nahi hua k ek hi
pal ne uske apno ki zindgi barbad kardi, ab uski zindgi the hi nahi. Uske
saamne jo manzar tha usne usko dehla diya tha. Uske liye is baat ka yakeen
karna naamumkeen hi tha ke uski maut hogyi hai. Uske saamne ek bethak the jisme
saamne Yamraj bethe the or aas paas Yumdut or ek shaks jisne ek ajeeb si kitaab
kholi hui the. Han ab uske karmo ka hisaab hona tha. Wo kuch samjh pati use
pehle hi Yumdoot ne bola k ab hum apke karamo ka hisaab krenge. Hum kuch swaal
puchenge aapne bas unke sidhe sidhe jwaab dene hai. Heena ki samjh se bahar tha
sab fir bhi wo raazi hogyi.
Yamdoot, “Tumne apne faisle humesha auro ko dhyaan me rakhte
hue liye hai, jo kmaal ki baat hai par aaj jo bhi swaal honge unke jwaab sirf
tumhare karmo se hai. Hum 3 swaal sabse pehle puchte hai jinka chayan sirf
manushaya ka hona chahiye fir hum us adhaar pe kuch aur swaal puchenge to hume
btaao tumhe humne art and craft ke hunar se nwaza to tumne khi or career bnane
hai faisla kyu liya? Aur to aur baad me apne career ko aur soch ko udaan kyu
nahi di?”
Heena, “Mere Mata Pita ji ko lgta tha ke jo hunar mujhme hai
usme aage jaker scope nahi hai to wo mere se jada samjhdar hai to maine unke
faisle ko twaazo di.”
Yamdoot, “Par tumhari zindgi ka ye faisla galat tha, tumhe
sabse anokha isliye bnaya tha ke tum apne jeevan ko aur logo se alag jee sako.
Agar us waqt tumne apna faisla liya hota to tumhe apne zeevan se kai gile na hote. Khaer, agla swaal tum pyaar kisi
aur se karti rahi aur shaadi kisi aur se ki?”
Heena, “Pyaar karna kafi nahi hota. Pyaar to Pita ji se bhi
tha to unke kehne par maine ye faisla liya. Aaj bhi duniya agar ek ladki pyaar
kare to use galat najar se dekhti hai to mere Pita ji ko lagta tha ke log kya
kahenge.”
Yamdoot, “Us shakas se tumhare purane janam jude the, unke
sath tum apne purane janamo ke hisaab pura kar pati, rahi jo tumhe lagta hai
duniya ka, jab tumne apne pyaar ko choda tab bhi logo ne tumhe galat kha, aur
tum apne purane bandhno se mukat nahi ho payi. Tumhe aksar sanket bhi diye
jinhe tumne samjh kar bhi najarandaaz Kar diya, ab ye lekh tumhare agle janam
tak jayenge. Moh aisi cheez hai kisi ke sath bhi rakhlo, tum apne karmo ko
piche nahi chod sakte.”
“kya tum apni zindi se santushat the jo humesha tumne bhi
apne bacho ko duniya ki baton se bandhna chaaha?”
Heena is swaal ko samjh nahi payi kyunki wo janti the ke
usne auro ki parwah ke liye kabhi khud faisle lene sikhe hi nahi, pehle parivaar,
fir sasural aur grahsti me itna ulajh gyi ke usne khud ke liye waqt nahi nikala
aur uski bebasi ek aansoo ki boond ban uski palko se gir padi.
Yamraaj ne khaa ke har manushaya ke karam 50-50 partishat
apne or dusro se jude hote hai, dusro ke liye to tumhe 50 se 30% hi milenge aur
tumhare 50 se 5% kyunki log kabhi tumse puri tarah santushat ho nahi skte par
hum khud ki jindgi ko kaise jee rahe hai wo humare hath me hota hai, jisme se
tumne kbhi jiya nahi. Ab tumhe ek aur jeevan lena padega jisme bhi tum is moh
bhari duniya ke maya jaal me fas jaogi, tumhe yaad nahi rahega aur fir is
jeevan mrityu ki chakar me rahogi.
Duniya to ye bhi kehti hai ache karam kro to swarg aur bure
karmo se narak milta hai, aur swarg ya narak sirf duniya ke maya jaal me hi milta
hai. Agar tum apne jeevan se santushat ho to swarg hai nahi to tumhare paas jo
marji ho tumhari jindgi narak se kam nahi. Tbi ek bhikari ke much pe bhi tez
hoga aur ameer insaan paise ki daud me akela hoga. Sabse jyada jo jruri hai wo
hai khud se khud ka rishta, agar tum khush ho to sabko khushi bantoge nahi to
kbhi bhi kisi ko khush nahi kar skte. Duniyadari, moh ke chakar me log aksar
khud se pyaar krna chod dete hai jo karmo me sabse sarvashreshath hai. Ab tum
kuch der khud ka chintan karo tab tak hum tumhare agle janam ki tyaari krte
hai.
Aur use abhaas hua ke
ye sab wo sapne me dekh rahi the.
Kmaal tha uske man ki girohe ek hi sapne ne khol di jiske
bad se unse apne aap ko bhi pyaar karna shuru kia, jaise hi usme ye badlaav
gharwalo ne dekha pehle to who achambhit hue par fir ghar me roz utsaav jaisa
mahol rehne lgaa kyunki ab Heena jo bhi karti man se karti, aur who sabke man
ko chu jati. Use samjh agya the ke is moh se bhari duniya me pehla rishta khud
se hota hai fir kisi aur se. Koi bhi apse puri tarh khush nahi hoga to khud se
khushi ka rishta nibha lijiye kyunki tumhare karmo ka hisaab sirf tumne dena
hai, tumhare rishto ne bhi nahi. Use khud se pyaar karne ka mauka mil gya tha jo
shayad har kisi ko nahi mil pata. Kuch hi log is ek zindgi me who sab kar pate
hai jo chahte hai par apni chahat puri kiye bina tum dusro ki jarurato ko pura
nahi kar paoge kyunki ek nahi to dusre din rishto ka pyaar tumhe bojh lagne
lagega. Is jeevan me kam se kam ek bar jarur apne liye jiyo.
Comments
Post a Comment