Beej
“Agar sach me itni dikkat hai to tum log apne Maa Baap ko
varidh asharam chod aao. Usme dikkat hi kya hai. Samjhdari isi me hai, roz tum
dono jab naukari karne nikalte ho to vapsi par tumhe yhi fikar hoti hai ke babu
ji ne fir kuch aisa kiya hoga ke jisse tumhara nuksan alag hoga aur ghar jate
ldaayi alag.” Ek rishtedar ye kehte hue Aakash ke ghar se to chale gya par
Aakash ke zehan me ek beej chod gya jisko ankurit hone me jyada waqat na lga aur
ek din usne tang akar adhe din ki chutti lekar apne Pita Ji ko varidh asharam
chod aya.
Jaise hi sham hui to Aakash ki patni ghar vapis ayi aur
chaye ka pani rakh kar wo Babu Ji ko jaise hi dhundhne lagi to Aakash ne use
bta diya ke Babu Ji ko pure maan ke sath main Varidh ashram chod aya hu. Aakash
ki patni ke liye ye yakeen karna bahut hi mushkil tha aur is bat ko lekar dono
me ek do din aan-ban bhi rahi ke unhone use puche bina yeh faisla le kaise
liya.
Do din ke bad ek dum se Aakash ki patni ki tabiyat achanak
se khraab hogyi. Jab Aakash ne use zidd ki ke unhe doctor ke pass jana chahiye,
to usne Aakash ko btaya ke woh dono bahut jalad Maa Baap banne wale hai, yeh
sun kar Aakash fulle na smaya, uski ankhe khushi se chamak uthi. Par agle hi
pal uski patni ne Aakash ko kha ke maine doctor se abortion ki baat karli hai,
taki unhe baad me koi dikkat na aye. Yeh
sun Aakash ko naa ki sirf gussa aya sath hi sath usne jaise hi woh apna hath
uthane laga, sharam se uski aankhe jhuk gyi. Aur usne apne Pita ko ghar vapis
lane ka faisla lekar us hi din apne Pita ji ko ghar laker unse maafi maangi.
Uske Pita ji umar ke us pdhaav par the, jha unhe nahi pta
chalta tha ke woh kya kar rahe hai, unhe 2 din varidh aashram kyu choda gya,
unki samajhne ki taqat itni nahi the, par Aakash ko yeh baat samajh agyi the ke
jis insaan ne sari umar meri sewa, fir meri zindgi sanwarne me lgaa di, us
insaan ko woh mehaz isliye apne se door karna chahte tha kyunki ek anjaan
insaan ne use ye mashwara diya aur uske Pita ji ko bojh samjhne par majboor kar
diya. Usnke baad se wo apne Pita ji ke sath na hi jyada waqt guzarne lga sath
hi sath apni Patni ke liye uske man me maan aur badh gya.
Rishte bahut najook hote hai, unko bojh ka ek beej tbaah bhi
kar skata hai aur pyaar ka ek beej ankurit kar apke jeevan ko gulistan bhi bna skta hai.
Yeh aap par nirbhar hai ke aap kis beej ko ankurit hone dete hai.
Comments
Post a Comment