Posts

Showing posts from August, 2018

SORRY

Image
Armaan chalte chalte yuhi ek bache se takra gya, jab uska dhyaan pda us gareeb se bache ki lachari par to usne mehsoos kia ke bache ke badan pe mehaj ek ftaa hua kapda tha, chehre ke upar mano sadiyo se lagi logo ki najar ne bache ko kala bna dia tha, itna hi nahi bhookh ki dastak bache ki nikali hadiya tatol rahi the, fir bhi bache ke paero me dhoop ki tapti zameen ne jano apna asar kam kar dia tha . In sab ke bavjood jaise hi Armaan aur woh bacha takraye to ghasseth lagne ke bavjood, bacha girte girte bacha or usne Armaan ko haste haste kaha, “Sorry Bhaiya.” Armaan janta tha ke galti Armaan ki the ke uske khyaalo ke chale uska dhayaan bache par pada hi nahi, fir bhi us bache ke itne lafzo me Armaan ke man ke bhav badal se diye. Armaan ne use sambhalte hue socha ke yeh jo 6-7 saal ka bcha hai usne Armaan se mafi kyu mangi? Kya woh bacha ye maan chukka hai ke jab bhi kabhi woh girega ya koi usse girayega to har baar kasoor us bache ka hi hoga? Armaan ko jindgi ke...

Khwahish

Image
"Kabhi kabhi main bahut hi hairan pareshan sa hojata hu, lagta bhi hai or nahi bhi ke jindagi ke itne saal tumhare saath bitane ke bavjood, main kabhi tumhe samajh bhi paya hu ke nahi!!! " Sagar ne Sonali se sarsari taur par yeh bat puchi. Sonali ne thoda sa pareshan hokar, ek mand si muskurahat Ko chupate hue, bas itna janana chaha, ke kyu ye khyaal Sagar ke zehan me utar aya, kyunki wo janti the ke Sagar jaladi se apne jazbo Ko lafzo me nahi pirota. Sagar ne yuhi kha, tumhe samjhna kbhi kbhi mushkil hojata hai, kbhi to tum us Badal ki tarah ho jati ho, ke bas sari khwahisho ka bhar mujhpe hi barsadogi, kbhi itni shaant ke fizaayo me behti lehar ho. Khwahishe bahut badi nahi beshak tumhari, par Jane kyu kabhi kabhi lagta hai ke jitna pyaar tumse mila hai, koi aur samjh naa pati, isliye apni tasaali ke liye sarsari taur par tumse puchliya. Sonali ne kha, " Sidhi baat apko aaj bhi samjh nahi ati, khwahishe jo Hoti hai na wo hume sapne bunvati hai, jeene ki ...