SORRY


Armaan chalte chalte yuhi ek bache se takra gya, jab uska dhyaan pda us gareeb se bache ki lachari par to usne mehsoos kia ke bache ke badan pe mehaj ek ftaa hua kapda tha, chehre ke upar mano sadiyo se lagi logo ki najar ne bache ko kala bna dia tha, itna hi nahi bhookh ki dastak bache ki nikali hadiya tatol rahi the, fir bhi bache ke paero me dhoop ki tapti zameen ne jano apna asar kam kar dia tha. In sab ke bavjood jaise hi Armaan aur woh bacha takraye to ghasseth lagne ke bavjood, bacha girte girte bacha or usne Armaan ko haste haste kaha, “Sorry Bhaiya.”

Armaan janta tha ke galti Armaan ki the ke uske khyaalo ke chale uska dhayaan bache par pada hi nahi, fir bhi us bache ke itne lafzo me Armaan ke man ke bhav badal se diye. Armaan ne use sambhalte hue socha ke yeh jo 6-7 saal ka bcha hai usne Armaan se mafi kyu mangi? Kya woh bacha ye maan chukka hai ke jab bhi kabhi woh girega ya koi usse girayega to har baar kasoor us bache ka hi hoga?

Armaan ko jindgi ke falsafe ki ek samajh agyi ke kai baar hum un baton ke liye bhi khud ko jimmedar maan lete hai, jinme hamara kasoor hi nahi hota, fir bhi jane kyu hum un cheezo ke liye khud ko ander hi ander szaa dete rehte hai. Jruri hi nahi ke har bacha ya har insaan “Sorry” kehne aye, par fir bhi humara ahankaar hume in choti choti baton se aage nahi badhne deta.

Armaan ko ab tak ye ehsaas ho chukka tha ke kin galtiyo ke liye ab usse khud ko maaf kardena chahiye or ab khud ko khud ke bnaaye bharam se riha kardena chahiye. Armaan ne us bache ko pucha ke kya wo bcha uske saath khana khayega? To bache ki bejaan ankho me ek chamak utar ayi, mano usko ek roti ki keemat pta ho. Bache ne Armaan se pucha kya wo apne 2-3 dosto ko bhi bula sakta hai, to Armaan ne dil se nikali ek muskurahat ke bad apna sir haan me hila diya, mano ab uske jeevan ki uljhan sulajh chuki the.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Kuch Bol

Imli ke Gole

Good Morning☕