Khwahish

"Kabhi kabhi main bahut hi hairan pareshan sa hojata hu, lagta bhi hai or nahi bhi ke jindagi ke itne saal tumhare saath bitane ke bavjood, main kabhi tumhe samajh bhi paya hu ke nahi!!! " Sagar ne Sonali se sarsari taur par yeh bat puchi.

Sonali ne thoda sa pareshan hokar, ek mand si muskurahat Ko chupate hue, bas itna janana chaha, ke kyu ye khyaal Sagar ke zehan me utar aya, kyunki wo janti the ke Sagar jaladi se apne jazbo Ko lafzo me nahi pirota.

Sagar ne yuhi kha, tumhe samjhna kbhi kbhi mushkil hojata hai, kbhi to tum us Badal ki tarah ho jati ho, ke bas sari khwahisho ka bhar mujhpe hi barsadogi, kbhi itni shaant ke fizaayo me behti lehar ho. Khwahishe bahut badi nahi beshak tumhari, par Jane kyu kabhi kabhi lagta hai ke jitna pyaar tumse mila hai, koi aur samjh naa pati, isliye apni tasaali ke liye sarsari taur par tumse puchliya.

Sonali ne kha, "Sidhi baat apko aaj bhi samjh nahi ati, khwahishe jo Hoti hai na wo hume sapne bunvati hai, jeene ki chaah deti hai, par kbhi mukamal nahi ho sakti. Ek khwahish puri nahi Hoti ke dusri apne daaman se aakr yu lipat jati hai, ke puri Hui khwahish ka zikar bhi hum khud se nahi karte. Jab kbhi mujhe lagta hai ke meri jarurat ufaan par hai, main Aksar tumpe haq jmaati hu, khwahish ke bojh ke liye nahi, bas yuhi ke ye humate rishte Ko aur majboot bnaye, nahi to Maine tumhari khamoshi se ek bahut khubsoorat cheez sikhi the, jo main tumhe btana chahungi."

Sagar ke chehre par jaise bhavo ne apni jagah badal ek swaal sa ladiya ho, ke koi kosi ki muskuhat se kya sikh sakta hai, bhlaa.... To Sonali ne bin Sagar ke kuch kahe btaya, "jab bhi kabhi rishte ki shuruat me koi bhi pareshani ati the, mere man ke bhav ufaan marte the ya kaho meri umeede bahut jada the meri zindgi se, aur tumhare pass unhe pure karne ke jareeye kam the, fir bhi tumne humesha mujhe apni muskuhat aur shaant savabhaav se, ek baat ka ehsaas dilaya ke jo bhi bojh hai wo bahar hai, jiska bojh hum bhitar liye jaa rae hai, jarurato ko khwahishon or khwahishon ko jrurat bna liya hai. Isliye bahar sab hote hue bhi bheetar kuch kami si lagi rehti hai. Par tumhari muskurane ki adat se mujhe kuch waqat me yeh ehsaas hogya ke agar tum khud se khush ho to bahar ki duniya ki kuch khwahish agar mukamal na bhi ho to bhi zindgi mukamal hai. Tumse bas itna sikha ke sapne dekho, pure bhi karo par unko bojh bnaane ki jagah ek aisa jazba bnaao jisse tumhari jindgi gulzaar hojaye, aur tumhe khud se hi pyaar hojaye. Jante ho aaj jab bhi main muskurati hu na, mujhe ehsaas hota hai meri muskurane ke mayne kya hai, jo aksar log kbhi samjh bhi nahi pate."

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Imli ke Gole

SORRY

Good Morning☕