Imli ke Gole



Sooraj apne kuch dosto ke sath vapsi kar rha tha jab uski najar ek thele par padi. School ke bahar ek aadmi aam-papad, khathi mithi goliya aur imli ke gole bech rhaa tha. Aaj uski behan ka janamdin tha to usne apni pocket se 10 Rs nikale aur chal pada imli ke gole khareedne. Wo janta tha ke uski behan ko aisi cheese kitni pasand hai to uske liye isse behtar aur kya tohfa ho skta tha.

Sooraj ke chehre par ghar jate ek khushi ki lehar si daud rahi the ke aaj wo apni behan ko khush dekhega aur fir wo dono beth ke imli ke golo ka swaad chakhenge. Ghar phunchte hi jaise hi usne apni behan ko woh imli ke gole diye to wo khushi se fulle na smaayi. Aur dono ne mil bant ke gole khaye, yeh dekh kar unke Maa- Baba bhi bhut khush hue or ye dua krne lage ke kash yeh rishta humesha yuhi bna rahe.

Waqt apni chaal ke sath badhta rha aur dono bhai behan pdhayi ke bojh me khi apne aap me masroof hone lge, akhir dono ko jeevan me kuch banke dikhana tha. Kisi ka janamdin ata to ghar me chota sa jashan hota par wo khushi nahi jo chehro ko gulaabi kar jaye. Kbhi kbhi lagta tha ke dono me wo pyaar khi kho gya hai, bachpan ki bebaki me dono ek duje ke liye rakhte the.

Sooraj ab apna college khatam karne hi wala tha. Akhri dino me dost, rishte, ane wala kal, bita hua kal sab use pareshan kar rahe the, kyunki ab use yeh samajh nahi arha tha ke uske zeevan me chal kya rha hai. College ke akhri din jab woh farewell party se lauta to who kuch udaas bhi tha or kuch khush bhi. Khushi the ke jalad woh graduate hoga par udaas apne beete kal, chut rahe dost or azadi ko lekar.

Ghar jate hi uski behan ne uske hath me Imli ke gole thmaa diye or khaa kam se kam aaj mujhe janamdin ki bdhayi to dedo. Aksar hum kuch baton par jada gaur krne se kuch jruri batein bhul jaya karte hai. Sooraj ko ek dum se dhakka lga ke wo apni behan ka janamdin kaise bhul gya, use bura bhi lga aur sath hi sath ehsaas bhi hua ke uski bahari zindgi ka asar uski nijji zindgi par bhi dikhne lga hai. Fir usne khud se vada kia ke jeevan me kitni bhi utrav chdav ho wo kbhi bhi un cheezo ko nazarandaz nahi krega jisse uski zindgi ke asli mayne jude hai, is kadar usne apne zeevan ko nayi rwangi di.


Hum sabka jeevan bhi un imli ke golo ki tarah hai jo bachpan me khi jyada swaad diya krte the, par ab jab hum unka zayka lene bethte hai to wo swaad khi kam sa hogya hai. Hume unke khate mithe zayke ki mithas to chahiye par hum ye bhul jate hai ke khatte hone se hi uske meethe hona ka anand hai. Bachpan ka wo zayka nahi badla, humare zayke uthane ke dhang me asar agya hai. 

Comments

Popular posts from this blog

SORRY

Good Morning☕