SORRY
Armaan chalte chalte yuhi ek bache se takra gya, jab uska dhyaan pda us gareeb se bache ki lachari par to usne mehsoos kia ke bache ke badan pe mehaj ek ftaa hua kapda tha, chehre ke upar mano sadiyo se lagi logo ki najar ne bache ko kala bna dia tha, itna hi nahi bhookh ki dastak bache ki nikali hadiya tatol rahi the, fir bhi bache ke paero me dhoop ki tapti zameen ne jano apna asar kam kar dia tha . In sab ke bavjood jaise hi Armaan aur woh bacha takraye to ghasseth lagne ke bavjood, bacha girte girte bacha or usne Armaan ko haste haste kaha, “Sorry Bhaiya.” Armaan janta tha ke galti Armaan ki the ke uske khyaalo ke chale uska dhayaan bache par pada hi nahi, fir bhi us bache ke itne lafzo me Armaan ke man ke bhav badal se diye. Armaan ne use sambhalte hue socha ke yeh jo 6-7 saal ka bcha hai usne Armaan se mafi kyu mangi? Kya woh bacha ye maan chukka hai ke jab bhi kabhi woh girega ya koi usse girayega to har baar kasoor us bache ka hi hoga? Armaan ko jindgi ke